Saturday, June 8, 2019

Filled Under:

Diver earn $100 Per day in Cuba Country

Aaj hum baat karenge ki ek texi driver kese $100 kama sakta hai, but yeh sirf Cuba Country main hai iski shuruat 1898 main United State of America se alag ho gaya tha, Aur iski Government ne decide kiya ki woh aapni country ko bohot behetar banainge, Aur woh U.S.A ko bhi piche.chhod denge, toh unhone socha ki Cuba desh ki sari zamin Government ke naam hogi koi bhi Private Sector nahi banega sirf Government ka raj hoga, iss ki waje se us desh main koi bhi Tata, Ambani jese nahi hoga, woh sab Government ke under kaam karenge, Cuba ki government yeh decide karti thi ki kon kya kaam karega kisko kitni salary milegi, movie ke budget aur collection ke shares decide karti thi, matlab ki pura control Cuba ki government ke pass tha,
Unhone workers ko salary di jitna woh diserve karta tha aur fir Cuba Government ne aapne desh main bachho ke liye Education free main karne ki ghushna ki,
Yeh sab sunke kitna achha lagta hai na, aisa lagta hai ki bano government ne bohot badiya kaam kiya aur aapne desh ka future sudhar diya par kismat ko kuch aur hi manzur tha, Ab jab Education Free ho chuki thi toh Cuba Country main koi bhi uneducated nahi tha, Nahi koi bhikari tha na bhi koi labour sab Educated the, jiski waje se logo ki salary divide ho gai aur bohot kaam milne lagi

Aur Cuba Country main 70% Doctor the aur unn doctro ke salary 40-60 $ per Month thi, iske chalte Cuba ke Educated log roz marrah ki zindagi main rehe nhi paa rahe the, jiske waje se bohot sare doctors ne woh desh hi chod diya aur naa bhi iss country main Private Sector tha sari chize government ki thi, log itni mehengai main nahi ji paa rahe the, Aur Cuba Government ke iss bewakufi plan pe pani fir gaya kiu ki unki Economy bohot zada damage ya kharab ho chuki thi uski dekh se paisa jaa raha tha, aur fir logo ne texi driver ka kaam kiya, yeh texi driver bahar se aai huye tourist ko ghumane or destination tak puhuchane ka kaam karne lage, Aur toh aur Goverment ne texi Driver ki koi bhi ammount decide nhi ki thi jiske chalte, woh driver kitna bhi charge kar leta hai, 10 Kilometer 25$ ya usse bhi zada charge karte hai, iss tarha taxi driver ek doctor ke salary se 30 guna zada kamane laga, jiski waje se sare Engeneers, Doctor, Government employers aapni job chhod kar texi chalane lage,

Tabhi 2016 main Fidel Castro ki death ho gai aur unki jaga li unke bhai na aur unhone dekha ki unki economy kharab hone ka kya karan hai aur unhone 20% Private sector karne ki permission di jiske waje se Cuba ki Economy main thoda sa subhar aaya

Ishi ke sath hum alvida lete hai
Jai Hind

0 comments:

Post a Comment